Mohabbat kar to len lekin,
wafa hai shart chahat ki.
Zara mujhko bata jana,
k is dor-e-khudgarzi me
wafa ab kon karta hai?
Wafa kanton ka rasta hai
To kanton pe chalega kon?
Wafa hai khel aatish ka
To aatish me jalay ga kon?
Wafa hai maut ka soda
Yahan baichay ga saansein kon?
Wafa hai rat-jaga mausam
Yahan jagay ga raatein kon?
Wafa khud ko mitana hai
Yahan khud ko mitaye kon?
Wafa sab kuch lutana hai
Yahan khud ko lutaye kon..!!!
No comments:
Post a Comment