Friday 30 September 2011

Lagta nahi kay sath nibhay ga dair talak

Lagta nahin k saath nibhaye ga dair talak
Lekin wo mujh ko bhola paye ga dair talak
Jo bhi kareeb aye ga us k koe bhe shakhs
Ussy zaroor wo mere dastan sunaye ga dair talak
Dhondy ga wo mujhy unhi galion main aek din
Dhondy ga or mujh ko na paay ga dair talak
Main sahilon ki rait py likhon ga us ka naam
Wo paani py naksh bunaye ga dair talak
Kis haal main hun us k baad main
Sun kar usy yaqeen na aye ga dair talak

No comments:

Post a Comment